Friday, July 27, 2007

Ehsaas

Read this poem somewhere its beautiful trust me :)


Kitaabon ke panno pe padti peeli dhoop hun mein…
Baalo mein sarsarati pankh wali harwa hun mein …
Aankho ke neeche padti halki halki lakeere hun mein …
Ice creame ke liye fudakti kissi bacche ki zid hun mein…
Paaani mein bahti hui choti si naav hun mein ..
Kissi ke kaandhe mein basa araam hun mein ….
Chamakti os ki boondo mein bhari roshni hun mein ..
neebu ke khatte achaar mein basa swad hun mein ..
tedi hui bhavo ke kone mein basa pyaar hun mein ..
…chookar dekho …yahi aas paas hun mein..
Kuch aur nahi ..jine ka ehsaas hun mein...:)

2 comments:

Arjun said...

*Applause8 ..speechless nahi likhunga ..nahi toh log mera bahut mazak udayenge :(...:p...

yeh ehsaas bahut kaam feel hota hai lyf main ..:(..

main bhi bhua ko yaad karunga ..bhua bhua ..:(...:p...

dekhna ..kal aa jayenge ..main jisse yaar karta hun woh aa jata hai ..;)....

Anonymous said...

vry nice shaviya...:):)....