Wednesday, August 22, 2007

About Turn

tere aane ka intezaar main har shaam karti hu
tujhe paane ki chaahat mein kuch aise kaam karti hu
teri aankhon ki chandni khareedne ke liye
main har dard ko baazaar mein neelaam karti hu
hamaare aaj ka naa tujh pe koi ilzaam karti hu
kal ko bhoolne ki koshishein naakaam karti hu
tujhpe koi ungli bhi naa uthaaye taaki
main apne aap ko har bheed mein badnaam karti hu
naa main rosh karti hu naa main aaraam karti hu
apni maut se har roz yeh sangraam karti hu
teri yaadon ke aks ko batorne ke liye
har raat ko aansoon mein hi anjaam karti hu
tere kadmon mein pesh aaj yeh kalaam karti hu
aur khoon ki har boond tere naam karti hu
tere aane ka intezaar main har shaam karti hu
tere aane ke intezaar mein har shaam marti hu

Original creation not mine but I modified it a bit

2 comments:

Arjun said...

yeh kahin suni hui hai ..:O... kahan yeh yaad nahi aa raha ...shayab ..abhi abhi padhi na ..isliye ...:d..

btw ...nice ..:)

Anonymous said...

dats nice to read.....:)

bt dnt wanna agree to all dis..:(